Falsafa yaha kaa

Aao aaj purane nagame main fir gaata hu..
AaoIn raaho kaa purana falsafa main fir sunaata hu..

Yaha kai Anjaane dost bn jaate hai..
Or kai Apne paraaye ho jaate hai.

Yaha khwaabo ke Udaan ki koi simaaye nhi hai..
To yahi pe dusre ki Udaan rokne ke liye koi hade nhi hai.

Yaha log poojte hai patharo Ko bhagwaan maanke..
Or fir tod dete unhi patharo Ko samaan Maanke...

Zikar hota h yaha Mehboob kaa har roj din me ..
Or Badal diye jaate Wahi Mehboob yaha har roj raat me.

Yaha aurato kaa sammaan hota h maa Ko khuda Maan kar..
Or usi aurat ki baazar me keemat lgaai jaati h use baazaru bna kar..
Ye kesi duniya bnai h mere khuda ..,
Yaha ladkiyon ki Pooja Hoti h Devi kaa roop Maan kar..
Or unhi kaa chehra jala diya jaata h unpar tejaab uchaal kar..

Yaha log pitaah ki ungli pkad kar chalna seekhte hai..
Or Wahi ungli pakad kar unhe ghar se begghar kr dete hai..

Yaha dukho me khuda Ko kosa jaata hai.
Or Sukh me usi khuda Ko bhoola diya jaata hai..

Yaha kitaabo se jyda gyaan kitaabo se jyda mehkhaano me milta hai..,
Yaha hunar sbki nazro se chupaakar seemayo me milta hai..

Yaha bech dete h log hawa bhi dabbo me bhar kar..,
Or khareede jaate h Imaan unhi dabbo me bhar kar..

Yaha Gareeb do Waqat ki roti ke liye jeeta h ..
Or Amir kisi ke niwaale cheenne ke liye Marta hai..,

Yaha raaho ki mushkile dekh manzile Badal di jaati hai..
Yaha ek kaa Aakar dekh dusre ki rekhaaye Badal di jaati hai..
Yahi to Khel h seemao kaa yaha..,
Dusro ki hade dekh yaha apni seemaye Badal di jaati hai..

Comments

Post a Comment

Popular Posts