My poetries

Seham Jaata hu har subh, aaj fr roti ke peeche bhagna hai..
Thehar jaata hu har pal, yaha apno ke khilaaf bhaagna hai..
Yu to har pal yaha jujta hu apni mushkilo se main..
Par bada Sukoon h kuki har bhaagti daudti subh kaa anjaam ek suhaani dhalti Shaam hai..

Kisi bhi nazro ki wo mushkuraaht kitni suhaani hogi..
Kisi bhi rang me rangi har tasveer kitni khaash hogi..
Pyaar to har koi karta h yaha..
Par Kahaani pyaar ki subh or dhalti Shaam ki kitni nooraani hogi..

Har ek kheelta Suraj or dhalti Shaam
Koi bhool nhi sakta kabhi ..
Or har dhalti Shaam me tera mushkuraana
Main nhi bhool skata kabhie..

Rishta hota bhi keetna Ajeeb har ek subh kaa Shaam se..
Har subh kaa anjaam ek dhalti Shaam hai..
Par har ek Shaam subh kaa kabhi Deedar nhi kar sakti..

Kuch swbhaav hi Shaam kaa ESA hai..
Kabhi mehkhaano me logo ke saath nasheeli Hoti hai..
To kabhi Nam aakho ke saath ruaasi Hoti hai..
Kabhi kisi kii haseen mushkuraaht ke saath kheel uthti hai..
To kabhi kisi ki ijjat-aabru ke saath dhal jaati hai..

Ye dosh Shaam nhi ki itne mukhaute pehan ghoomti hai..
Ye galti to nazro ki hai..., Jo gham me mekhaano ke dhundti hai..
Or Khushi me kisi ki ijjat or aabru ko..

Comments

Post a Comment

Popular Posts